Shankar Lal Shankar

soz-e-dil se pur-nam ho gai

Shankar Lal Shankar

soz-e-dil se pur-nam ho ga.ī
ab to ye ātish bhī shabnam ho ga.ī
jab tabī.at ḳhūgar-e-ġham ho ga.ī
rafta rafta har ḳhalish kam ho ga.ī
zaḳhm dil ke ho chuke the lā-ilāj
ik nigāh-e-lutf marham ho ga.ī
hai mohabbat kā ye me.arāj-e-kamāl
zindagī ḳhud tishna-e-ġham ho ga.ī
kar chuke haiñ un se ham ahd-o-vafā
aur ye zanjīr mohkam ho ga.ī
ġham pe thā saarā madār-e-zindagī
ġham huā kam to ḳhushī kam ho ga.ī
vo sitam kar ke pashemāñ jab hue
sharm se gardan mirī ḳham ho ga.ī
dekhnā mere tasavvur kā kamāl
ārzū-e-dil mujassam ho ga.ī
der tak milte rahe qalb-o-nazar
guftugū kuchh aaj bāham ho ga.ī
chheḌ denā ho gayā 'shañkar' sitam
zulf un kī aur barham ho ga.ī
Top Urdushayar.com