Shankar Lal Shankar

har nazar aashna nahin hoti

Shankar Lal Shankar

har nazar āshnā nahīñ hotī
lutf meñ kyā jafā nahīñ hotī
vasl kī bhī duā nahīñ hotī
ham se ab iltijā nahīñ hotī
saarī duniyā ke kaam aate haiñ
ek tum se vafā nahīñ hotī
dil meñ ik aarzū hai barsoñ se
lafz ban kar adā nahīñ hotī
ishq to ek hī se hotā hai
saarī duniyā ḳhudā nahīñ hotī
Thokaroñ meñ tirī qayāmat thī
ab kabhī rūnumā nahīñ hotī
ye sifat hai janāb-'shañkar' meñ
har nazar pārsā nahīñ hotī
Top Urdushayar.com