gulshan meñ junūñ kā mujhe sāmāñ nazar aayā
jo phuul khilā chāk-garebāñ nazar aayā
har shai meñ tirā husn-e-daraḳhshāñ nazar aayā
jis chiiz ko dekhā mah-e-tābāñ nazar aayā
jis ne use dekhā vo giraftār-e-balā thā
tasvīr kā ā.īna bhī hairāñ nazar aayā
yārab koī had bhī hai pareshān-nazar kī
furqat meñ chaman mujh ko bayābāñ nazar aayā
gulshan meñ khile gul to havā chal ga.ī aisī
sābit na kisī kā bhī garebāñ nazar aayā
ā.īne meñ kyā dekh liyā kaun batā.e
zulfoñ kī tarah ḳhud vo pareshāñ nazar aayā
phir tuur pe jaane kī zarūrat hameñ kyā thī
jab aañkh uThī jalva-e-jānāñ nazar aayā
tāsīr na.ī fasl-e-bahārāñ meñ ye dekhī
dāman kī jagah ham ko garebāñ nazar aayā
ai ishq bahut tū ne to dekhā hai zamāna
mujh sā bhī koī be-sar-o-sāmāñ nazar aayā
hai husn kī sarkār meñ tausīf vafā kī
vo kahte haiñ 'shañkar' hameñ insāñ nazar aayā