Shankar Lal Shankar

aah sharminda-e-asar na hui

Shankar Lal Shankar

aah sharminda-e-asar na huī
koī tadbīr kārgar na huī
multafit aap kī nazar na huī
shāḳh-e-ummīd bārvar na huī
ham ne din jis jagah guzār diyā
raat apnī vahāñ basar na huī
aib auroñ ke DhūñDte haiñ ham
apne afa.āl par nazar na huī
qissa-e-ġham agar na thā kotāh
zindagānī bhī muḳhtasar na huī
rah ga.ī dil meñ dāġh-e-dil ban kar
vo tamannā jo bārvar na huī
daad do mere zabt-e-ġham kī mujhe
dil bhī royā to chashm tar na huī
mere taḳh.īl kī bulandī bhī
kabhī mohtāj-e-bāl-o-par na huī
ḳhūbiyāñ dekhiye muqaddar kī
ho ga.ī shaam to sahar na huī
un se milne kī aarzū puurī
baat mumkin sahī magar na huī
dil pe guzre vo hādse 'shañkar'
ik ghaḌī chain se basar na huī
Top Urdushayar.com