dil agar dāġhdār ho jaatā
ik sarāpā bahār ho jaatā
dāman-e-sabr hijr ke hāthoñ
kyuuñ na yuuñ tār-tār ho jaatā
vaa.e majbūriyāñ mohabbat kī
zabt par iḳhtiyār ho jaatā
maiñ ne yuuñ shikva-e-jafā na kiyā
vo agar sharmsār ho jaatā
paas hotā agar vo jān-e-bahār
be-niyāz-e-bahār ho jaatā
ik nigāh-e-karam jo ho jaatī
phir to beḌā hī paar ho jaatā
un kī tirchhī nazar kā kyā kahnā
jis pe paḌtī shikār ho jaatā
un nigāhoñ kī mastiyāñ tauba
mai-kada sharmsār ho jaatā
pyaar karte haiñ vo jinheñ 'shañkar'
kaash un meñ shumār ho jaatā