muqaddar apnā bargashta muḳhālif āsmāñ apnā
vo kyā rūThā ki dushman ho gayā saarā jahāñ apnā
ilāhī ho gayā be-vaj.h dushman bāġhbāñ apnā
kahāñ le jaa.eñ gulshan se uThā kar āshiyāñ apnā
bigaḌ jaa.e na gulchīñ hai zamāne kī havā bigḌī
banāyā to hai bulbul shāḳh-e-gul par āshiyāñ apnā
fasāna ban ke apnā ishq duniyā kī zabāñ par hai
diyā thā ham ne dil tum ko samajh kar rāz-dāñ apnā
vafā kī qadar kyā hotī sitam ke ho ga.e ḳhūgar
banāyā un ko dushman ham ne de kar imtihāñ apnā
ḳhudā kī zaat par ham ko to ai 'shañkar' bharosā hai
balā se dushman-e-jāñ ho jo hai saarā jahāñ apnā