Shankar Lal Shankar

unki surat nazar nahin aati

Shankar Lal Shankar

un kī sūrat nazar nahīñ aatī
shab-e-ġham kī sahar nahīñ aatī
yuuñ to gardish meñ hai nazar un kī
ham jidhar haiñ udhar nahīñ aatī
qatl bīmār ko karo aa kar
chāra-sāzī agar nahīñ aatī
aane vaalī to thī magar kab tak
maut kī kuchh ḳhabar nahīñ aatī
jam.a haiñ mai-kade meñ matvāle
kyuuñ ghaTā jhuum kar nahīñ aatī
kaun sī vo balā hai hijr kī shab
jo mirī jaan par nahīñ aatī
jis ghaḌī ho bashar ko ġham se najāt
vo ghaḌī umr bhar nahīñ aatī
aaj vo yuuñ laḌe haiñ 'shañkar' se
sulh hotī nazar nahīñ aatī
Top Urdushayar.com