Shankar Lal Shankar

kitna dilkash fareb-e-hasti hai

Shankar Lal Shankar

kitnā dilkash fareb-e-hastī hai
zindagī maut ko tarastī hai
ye nasheb-o-farāz hastī hai
har bulandī ko ek pastī hai
dekh kar kyā karoge dil kī taraf
ek ujḌī huī sī bastī hai
maut aa kar jise uThā.egī
zindagī vo hijāb-e-hastī hai
jaan de kar mile jo us kī razā
phir bhī mahñgī nahīñ hai sastī hai
ruḳh ghaTā kā hai sū-e-mai-ḳhāna
dekhiye ab kahāñ barastī hai
us ke naġhmoñ se mast hai duniyā
kitnā pur-kaif sāz-e-hastī hai
hai ye saudā yaqīn kā 'shañkar'
but-parastī bhī haq-parastī hai
Top Urdushayar.com