qāsid nahīñ ye vaqt savāl-o-javāb kā
ab haal ġhair hai dil-e-ḳhāna-ḳharāb kā
tum dekhne kī chiiz ho dekhā kare koī
ye husn ye jamāl ye aalam shabāb kā
tamhīd-e-be-ḳhudī thā kahāñ thā havās-o-hosh
ḳhalvat meñ aa ke un kā ulaTnā naqāb kā
kyā ātish-e-firāq ne dil par asar kiyā
in āñsuoñ meñ mere mazā hai kabāb kā
ham ne to apnī aañkh se dekhā nahīñ unheñ
qissa sunā hai hazrat-e-'shañkar' ke ḳhvāb kā