Shankar Lal Shankar

ruTh jae wo mah-jabin na kahin

Shankar Lal Shankar

ruuTh jaa.e vo mah-jabīñ na kahīñ
lab pe aa jaa.e phir nahīñ na kahīñ
ham ne duniyā ko chhān maarā hai
tujh sā dekhā magar hasīñ na kahīñ
terī jānib se mujh ko khaTkā hai
ġhair ho jaa.e dil-nashīñ na kahīñ
shikva dushman kā karte Dartā huuñ
ho vahī mār-e-āstīñ na kahīñ
dil ko mere churā ke le jaa.e
vo but-e-sehr-āfrīñ na kahīñ
ye na kahiye kisī se ulfat se
khā.eñ dhokā yahāñ hamīñ na kahīñ
mudda.ā dil kā kyā kaheñ us se
ham se bigḌe vo nāznīñ na kahīñ
dil kisī but ke dil se miltā hai
ek ho jaa.eñ kufr-o-dīñ na kahīñ
sher kahnā samajh ke ai shañkar
koī mil jaa.e nukta-chīñ na kahīñ
Top Urdushayar.com