Shankar Lal Shankar

bura kahne se mujhko muddaa kya

Shankar Lal Shankar

burā kahne se mujh ko mudda.ā kyā
koī pūchhe to us ne ye kahā kyā
suneñ ham bhī ki dushman ne kahā kyā
bhalā jhūTī shikāyat kā gilā kyā
mohabbat kī ye bāteñ haiñ mirī jaañ
vafā kī ibtidā kyā intihā kyā
na kiije mujh se ġhairoñ kī shikāyat
bhulā dī aap ne tarz-e-vafā kyā
sunā hai qais thā lailā kā āshiq
mohabbat ho to phir achchhā burā kyā
javānī meñ ye nādānī kī bāteñ
vo kahte haiñ ki va.ade kī vafā kyā
vafā par jaan bhī qurbāñ hai apnī
jo pūchhe ham ko us kā pūchhnā kyā
khile the us ke lab ġhunche kī sūrat
batā to do ki 'shañkar' se kahā kyā
Top Urdushayar.com