Shankar Lal Shankar

kahan kahan teri rangini-e-shabab nahin

Shankar Lal Shankar

kahāñ kahāñ tirī rañgīnī-e-shabāb nahīñ
mirā mazāq-e-nazar phir bhī kāmyāb nahīñ
kisī nazar meñ tumheñ dekhne kī taab nahīñ
naqāb-e-ruḳh bhī ulaT do to be-naqāb nahīñ
vo sun ke arz-e-tamannā ko ho ga.e ḳhāmosh
mire savāl kā shāyad koī javāb nahīñ
kuchh aur mast nigāhoñ se dekh ai saaqī
ba-qadr-e-zarf abhī nashsha-e-sharāb nahīñ
baḌe-baḌoñ ke qadam Dagmagā ga.e haiñ yahāñ
ye imtihān kā ik daur hai shabāb nahīñ
ḳhamosh baiThe haiñ jo pī chuke haiñ ḳhum ke ḳhum
bahak rahe haiñ jo ālūda-e-sharāb nahīñ
tumhārī hasrat-e-dīdār barqarār rahe
hazār saal bhī guzrīñ to kuchh hisāb nahīñ
lagī huī haiñ tumhārī taraf mirī āñkheñ
mirī nazar meñ zamāne kā inqalāb nahīñ
khulī huī tire aane ke intizār meñ haiñ
ḳhushā-nasīb vo āñkheñ jo mahv-e-ḳhvāb nahīñ
maiñ apne dost se kyā mujtanib huuñ ai 'shañkar'
mujhe to apne adū se bhī ijtināb nahīñ
Top Urdushayar.com