Shankar Lal Shankar

baiTh kar pas na arman-bhara dil dekha

Shankar Lal Shankar

baiTh kar paas na armān-bharā dil dekhā
ik nazar duur se hī us ne ba-mushkil dekhā
aa.ina dekh ke ḳhud ho gayā bismil dekhā
ham ne to aks ko qātil ke bhī qātil dekhā
hijr meñ jiinā to be-shak hai nihāyat dushvār
ishq meñ aur koī kaam na mushkil dekhā
jaan māñgī thī kahā ham ne ki tum par hai nisār
us pe kahte ho ki bas jā bhī tirā dil dekhā
maiñ samajhtā huuñ use apnī mohabbat kī kashish
tū ne muñh pher ke bhī mujh ko jo qātil dekhā
aap kī yaad se maiñ to kabhī ġhāfil na rahā
aap kahte haiñ tujhe ḳhvāb meñ ġhāfil dekhā
bistar-e-gul pe jise dekhā thā sote kal tak
aaj us nuur ke putle ko tah-e-gul dekhā
shaan allāh kī gulshan meñ nazar aa.ī hameñ
kabhī ġhunche pe nazar Daalī kabhī dil dekhā
umr-bhar ḳhaak uḌātā rahā sahrā kī magar
umr-bhar qais ne lailā kā na mahmil dekhā
mil gayā ḳhaak meñ ḳhud un kī hifāzat ke liye
shauq-o-armāñ kā muhāfiz tujhe ai dil dekhā
bhar diyā gauhar-e-nāyāb se ashkoñ ne mire
ḳhālī phailā huā jab dāman-e-sāhil dekhā
ham sunāne lage qissa use apnā 'shañkar'
ġhair ke zikr se jis dam use ġhāfil dekhā
Top Urdushayar.com