chaman chaman hī nahīñ hai jo lāla-zār nahīñ
ham us ko dil nahīñ kahte jo dāġh-dār nahīñ
maiñ chal rahā huuñ zamāne ke saath saath magar
fazā zamāne kī phir bhī to sāzgār nahīñ
raqīb jhuuT kahegā to sach samajh loge
kaheñge sach bhī agar ham to e'tibār nahīñ
maiñ un ke husn ko ilzām dene vaalā kaun
jab apne dil pe mujhe ḳhud hī iḳhtiyār nahīñ
ab aur dekhiye tauhīn-e-ishq kyā hogī
vo kah rahe haiñ hameñ terā e'tibār nahīñ
tumhāre hijr meñ din kis qadar guzāre haiñ
koī hisāb nahīñ hai koī shumār nahīñ
tire karam ke bharose pe mutma.in huuñ maiñ
ye jāntā huuñ ki mujh sā gunāhgār nahīñ
kisī ke ruḳh pe nazar jam ke rah ga.ī shāyad
mirī nigāh meñ rañgīnī-e-bahār nahīñ
ḳhumār-e-nashā-e-hastī hai vo balā 'shañkar'
bahak rahā hai har ik koī hoshiyār nahīñ