ruḳh nazar kā kabhī idhar na huā
dil ko hasrat rahī jigar na huā
hijr kī shab to jān-levā thī
din judā.ī kā bhī basar na huā
us ke alfāz dil meñ chubhte haiñ
koī fiqra bhī be-asar na huā
bazm meñ sau maqām badle haiñ
ruḳh tumhārā kabhī udhar na huā
vasl likkhā thā merī qismat meñ
be-kasī dekhiye magar na huā
hijr ne dam pe ye banā dī thī
ham se naala bhī rāt-bhar na huā
umr-bhar us kī taak hī meñ rahe
dhyān apnā idhar-udhar na huā
us ke jalve se thā jahāñ ma.amūr
ġhair kā zikr bhuul kar na huā
us ko āshiq na samjho ai 'shañkar'
jo fidā us ke naam par na huā