ġham-e-dost ko āsā.ish-e-duniyā se ġharaz kyā
bīmār-e-mohabbat ko masīhā se ġharaz kyā
sar-tā-ba-qadam banda-e-taslīm-o-razā huuñ
mujh āshiq-e-sādiq ko tamannā se ġharaz kyā
kūcha hai tirā aur hai din-rāt kā chakkar
vahshī ko tire gulshan-o-sahrā se ġharaz kyā
va.ada na karo jalva-e-dīdār dikhāo
imroz ke mushtāq ko fardā se ġharaz kyā
tum baaġh meñ jaate ho to gul khilte haiñ kyā kyā
phūloñ ko tumhāre ruḳh-e-zebā se ġharaz kyā
aql itnī kahāñ hai ki jo anjām ko soche
duniyā ke talabgār ko uqbā se ġharaz kyā
ahbāb haiñ mai-ḳhāna hai pahlū meñ hai ma.ashūq
ab hazrat-e-'shañkar' ko tamannā se ġharaz kyā