Shankar Lal Shankar

sabir-o-shakir rahe shadan rahe

Shankar Lal Shankar

sābir-o-shākir rahe shādāñ rahe
ḳhush rahe jis haal meñ insāñ rahe
tum ko ā.īne meñ kyā aayā nazar
misl-e-ā.īna jo tum hairāñ rahe
us mohabbat kā burā ho ishq meñ
chaar din bhī to na ham shādāñ rahe
the vo husn-o-ishq ke rāz-o-niyāz
qaid zindāñ meñ mah-e-kan.āñ rahe
tum nahīñ ho to tumhārī yaad hai
ḳhāna-e-dil kis liye vīrāñ rahe
qatl kar ke ham ko vahīñ munfa.il
aur ham sharminda-e-ehsāñ rahe
mai se tauba us ghaTā meñ mohtasib
kyuuñ farishta ban ke har insāñ rahe
khil ke kaliyāñ de rahī haiñ ye sabaq
aadmī kāñToñ meñ bhī ḳhandāñ rahe
baaġh meñ do din ko aa.ī hai bahār
misl-e-shabnam koī kyuuñ giryāñ rahe
mere siine meñ jo the ulfat ke daaġh
roz-e-raushan kī tarah tābāñ rahe
kyā haram kyā dair haiñ jhagḌoñ ke ghar
un se 'shañkar' duur hī insāñ rahe
Top Urdushayar.com