mirī qismat meñ vasl us kā agar ai āsmāñ hotā
to tū bhī mehrbāñ hotā ḳhudā bhī mehrbāñ hotā
sitam ke ba.ad hotā hai karam bhī ye agar sach hai
mire dil par bhī aisā hī sitam ai jān-e-jāñ hotā
balā.eñ le ke dushman mar gayā merī balā samjhe
samajh meñ merī jab aatā tamāshā ye yahāñ hotā
zamīñ par sone vāloñ ko hiqārat se na Thukrātā
hamārī tarah gardish meñ jo tū ai āsmāñ hotā
chaman uudī ghaTā saaqī surāhī aur paimāna
ye sab sāmān hote shaiḳh kā phir imtihāñ hotā
sunā hai fasl-e-gul aa.ī huī phir gulshan-ārā.ī
chaman meñ kaash apnā bhī qafas ai bāġhbāñ hotā
vo merā ro ke kahnā un ke 'shañkar' hañs ke farmānā
are ulfat meñ koī bhī nahīñ hai shādmāñ hotā