aisā nahīñ koī ki shanāsā kaheñ jise
miltā kahāñ hai koī ham apnā kaheñ jise
ik markaz-e-ḳhayāl hai duniyā kaheñ jise
koī nazar to aa.e ki tum sā kaheñ jise
saaya bhī bhāgtā hai jahāñ apnī zaat se
vo hai sarāb dasht-e-tamannā kaheñ jise
zulf-e-darāz ban ke ulajhtī rahī mudām
ik tār-e-ankabūt hai duniyā kahīñ jise
'māhir' vahī na kahte haiñ sab jis ko aadmī
haiñ ḳhūbiyāñ hī kyā ki ham achchhā kaheñ jise