kab ashk-e-shab-e-hijr samundar na huā thā
haañ qatra-e-naisāñ abhī gauhar na huā thā
pur-nūr huā ḳhāna-e-dil un ke qadam se
is se kabhī pahle ye munavvar na huā thā
zulfeñ to sañvartī hī rahīñ bārhā lekin
ā.īna kabhī ruḳh ke barābar na huā thā
ham-zād kī sūrat rahī tā-umr asīrī
us se jo rahā honā muqaddar na huā thā
milnā thā na miltā hai sukūñ dahr meñ mujh ko
hāsil vo huā ab jo mayassar na huā thā
miltī hī kahāñ chhāñv mujhe vādī-e-ġham meñ
saaya bhī mirā qad ke barābar na huā thā
da.avā-e-suḳhan karnā to ik baat hai 'māhir'
ab tak koī shā.ir tirā ham-sar na huā thā