Mahir Aarwi

dar aap ka hum chhoD ke ab jaen kahan aur

Mahir Aarwi

Arrah, Bihar, India

1930
dar aap kā ham chhoḌ ke ab jaa.eñ kahāñ aur
hai tark-e-ta.alluq meñ ḳhud apnā hī ziyāñ aur
āsān uThānā na thā kuchh bār-e-ḳhilāfat
juz mere uThātā bhī koī bār-e-garāñ aur
dil hai ki koī chaub-e-tar-o-tāza-o-shādāb
jab aag sulagtī hai to uThtā hai dhuāñ aur
hai fasl-e-bahārāñ meñ chaman sho.ala-ba-dāmāñ
ab dekhiye kyā hotā hai andāz-e-ḳhizāñ aur
āzādī-e-guftār-o-ḳhayālāt kā iz.hār
barbādī ke ab is se bhī baḌh ke haiñ nishāñ aur
jab shīsha-e-dil par mire zañgār hai aatā
kyā kahiye chamaktā hai mirā dāġh-e-nihāñ aur
maiñ shāḳh-e-samar-dār ke mānind huuñ 'māhir'
miltā huuñ kisī se to vo kartā hai gumāñ aur
Top Urdushayar.com