Mahir Aarwi

dagh-e-dil apna kisi tarah dikhae na bane

Mahir Aarwi

Arrah, Bihar, India

1930
dāġh-e-dil apnā kisī tarah dikhā.e na bane
aur chāhūñ jo chhupānā to chhupā.e na bane
dāman-e-dil meñ vo jab chāheñ lagā deñ ik aag
ham agar chāheñ bujhānā to bujhā.e na bane
tum ko manzūr nahīñ apne taġhāful se gurez
ham pe ban aa.ī hai aisī ki banā.e na bane
uf re ye tīra-nasībī ye añdhere kā faroġh
diip āñkhoñ kā jalā.ūñ to jalā.e na bane
haa.e ye fitrat-e-husn uf vo mizāj-e-nāzuk
naaz uThānā bhī jo chāhūñ to uThā.e na bane
soch ke dījiye dīvāne ko dāman kī havā
ye bhī mumkin hai ki phir hosh meñ aa.e na bane
naaz hai tāqat-e-guftār pe 'māhir' ko magar
dil pe guzrī hai kuchh aisī ki sunā.e na bane
Top Urdushayar.com