shahr meñ kaisā ḳhatar lagtā hai
apne saa.e se bhī Dar lagtā hai
aaj phir dil hai duā par maa.il
band phir bāb-e-asar lagtā hai
kuchh vaqār-e-dar-o-dīvār nahīñ
ho makīñ ghar meñ to ghar lagtā hai
āshiyāñ jis meñ parindoñ ke na hoñ
kitnā tanhā vo shajar lagtā hai
āsmāñ kitnā jhuk aayā hai 'sharīf'
sar uThātā huuñ to sar lagtā hai