ek shai thī ki jo paikar meñ nahīñ hai apne
jis ko dete ho sadā ghar meñ nahīñ hai apne
tujhe paane kī tamannā tujhe chhūne kā ḳhayāl
aisā saudā bhī koī sar meñ nahīñ hai apne
tū ne talvār bhī dekhī nigah-e-yār bhī dekh
ye tab-o-tāb to ḳhanjar meñ nahīñ hai apne
kis qabīle se uḌā laa.ī hai fauj-e-a.adā
aisā jarrār to lashkar meñ nahīñ hai apne
sar-nigūñ jis kī faqīrī ke muqābil shāhī
ab vo shai mard-e-qalandar meñ nahīñ hai apne
laakh kiije talab-e-rāhat-o-ārām 'sharīf'
kyā milegā jo muqaddar meñ nahīñ hai apne