jaagā hai kachchī niiñd se mat chheḌiye use
kyā jaane kyā junūn meñ muñh se nikal paḌe
sāvan kī rut bhī ab ke baras be-ḳhabar ga.ī
bādal uThe to jaane kahāñ par baras ga.e
qad-āvarī pe apnī hameñ naaz thā bahut
sūraj ugā to qad se bhī saa.e darāz the
mujrim bane ki sikka thā ahd-e-qadīm kā
bāzār le ga.e to giraftār ho ga.e
bachpan kī ḳhvāhishoñ kā galā ghoñTnā paḌā
jab ham ḳhalā se paar hue to khañDar mile
ḳhalvat kā us kī bhed kisī pe khulegā kyā
dīvāreñ be-zabān haiñ gūñge haiñ aa.ine
ai 'saif' ham bhī yūsuf-e-sānī haiñ āj-kal
andhe kuñ.eñ se nikle to bāzār meñ bike