Raza Azimabadi

ai but-e-na-ashna kab tujhse begane hain hum

Raza Azimabadi

ai but-e-nā-āshnā kab tujh se begāne haiñ ham
tū agar is bazm meñ mai hai to paimāne haiñ ham
bosa leveñ yā gale lag jaa.eñ āzurda na ho
chāhne vaale haiñ aur dīvāne mastāne haiñ ham
kab alam aur hasrateñ apnī kaheñ ai dostāñ
raat ko bulbul haiñ ham aur din ko parvāne haiñ ham
ghūrne se kyā tumhārī āñkhoñ ke ham Dar ga.e
ve agar haiñ mast ai pyāre to dīvāne haiñ ham
ai 'razā' ham mil ga.e us se gale pī kar sharāb
go haiñ dīvāne par apne kaam ke syāne haiñ ham
Top Urdushayar.com