Raza Azimabadi

yar ke ruKH ne kabhi itna na hairan kiya

Raza Azimabadi

yaar ke ruḳh ne kabhī itnā na hairāñ kiyā
fikr-e-sar-e-zulf ne jaisā pareshāñ kiyā
aisā kisī se junūñ dast-e-garebāñ na ho
chāk-e-garebāñ kā bhī chaak garebāñ kiyā
kar chukā thā zahr-e-rashk parde meñ kaar apnā lek
teġh-e-judā.ī ne zor kār-e-numāyāñ kiyā
ishq tire haath se tū hī batā kyā kareñ
vasl meñ hairāñ kiyā hijr meñ giryāñ kiyā
aish-o-ġham-e-bāġh-e-dahr vahm hai Tuk gul ko dekh
chaak kiyā tū kahe maiñ kahūñ ḳhandāñ kiyā
us kā charāġh-e-murād rahiyo farozāñ mudām
dāġhoñ se dil ko mere jis ne charāġhāñ kiyā
ishq kī kyā tarbiyat tujh se kahūñ ai 'razā'
aah ko naala kiyā naale ko afġhāñ kiyā
Top Urdushayar.com