sach kah 'razā' ye kis se lagā.ī hai sāT-bāT
kuchh phir hai in dinoñ meñ tirā jī nipaT uchāT
dekheñge kyuuñ ke chashmoñ se jaate rahoge tum
laḳht-e-jigar kī chaukī bi.Thā.ī hai ghaaT ghaaT
TukḌe chune haiñ dil ke jo ā.ankhoñ ke ḳhvān haiñ
hai kis ke mehmānī kā ai mardumāñ ye ThaaT
apnī galī ke aane se mujh ko na man.a kar
bad-nām ho ge band karegā jo raah baaT
us chashm-o-dil ne kahnā na maanā tamām umr
ham par ḳharābī laa.ī ye ghar hī kī phūT-phāT
rahne de apnī bazm meñ kuchh bolūñ maiñ agar
mānind-e-sham.a phir vahīñ merī zabāñ ko kaaT
ab is galī meñ aatā jo hai har ghaḌī 'razā'
kuchh to milī hai vaañ se tujhe merī baaT chaaT