Raza Azimabadi

har nafas murid-e-safar hain hum

Raza Azimabadi

har nafas mūrid-e-safar haiñ ham
goyā dukkān-e-shīshagar haiñ ham
sham.a ke gaah tāj-e-sar haiñ ham
gah patiñge ke bāl-o-par haiñ ham
ishq ne jab se kī hai dil kar nī
barq haiñ sho.ala haiñ sharar haiñ ham
rañg-e-rukHsār ḳhūb-rūyāñ haiñ
āh-e-ushshāq ke asar haiñ ham
ham haiñ nairañgī-e-bahār ke rañg
naḳhl-o-barg-o-gul-o-samar haiñ ham
sajda-gah haiñ tamām aalam kī
kis kī ye ḳhāk-e-rahguzar haiñ ham
ahl-e-dil apne rahte haiñ mushtāq
goiyā vasl kī ḳhabar haiñ ham
haal ḳhat-e-shikasta meñ likkhā
ya.anī us se shikasta-tar haiñ ham
dushmanī ham se ho nahīñ saktī
tujh se sharminda kīna-var haiñ ham
jab se dekhī hai us ke ghar kī raah
aur ḳhāna-ḳharāb-tar haiñ ham
rashk meñ shor-o-shar se haiñ lāchār
kuchh farishte nahīñ bashar haiñ ham
us ne ahvāl pūchhā ham mar ga.e
kis qadar qissa-muḳhtasar haiñ ham
kyā kareñ dil nahīñ hai paas 'razā'
sabr meñ varna be-jigar haiñ ham
Top Urdushayar.com