Raza Azimabadi

jab uThe tere aastane se

Raza Azimabadi

jab uThe tere āstāne se
jāniyo uTh ga.e zamāne se
din bhalā intizār meñ guzrā
raat kāTeñge kis bahāne se
jaan bhī kuchh hai jo na kiije nisār
mar na jā.eñge us ke jaane se
ek us zulf se uThāyā haath
chhaT ga.e lākhoñ shāḳhsāne se
koī mar jaao kaam hai us ko
apnī tarvār āzmāne se
us ke tīr-e-nigāh ke aage
kuchh hamīñ ban ga.e nishāne se
nā-tavānī tujhe ġhazab aa.e
ga.e us kī galī ke jaane se
kahāñ bangāla aur kahāñ maiñ 'razā'
bas nahīñ chaltā āb-o-dāne se
Top Urdushayar.com