Raza Azimabadi

lazim hai buland aah ki rayat na kare tu

Raza Azimabadi

lāzim hai buland aah kī rāyat na kare tū
tasḳhīr agar dil kī vilāyat na kare to
āñkhoñ kā bahe jaanā sahā girye par afsos
ab bhī agar us dil meñ sarāyat na kare tū
maiñ moḌūñ na muñh us kī jafā se pa karūñ kyā
is vaqt vafā phir jo kifāyat na kare tū
jam.iyyat-e-aġhyār se Darte nahīñ āshiq
par ḳhauf ye hai un kī himāyat na kare tū
ai qāsid agar naama mirā chaak kare yaar
behtar hai ki mujh se bhī rivāyat na kare tū
phir kah tū chimaT kar na leñ ham bosa so kyūñkar
jab aap se gaalī bhī ināyat na kare tū
ai mīr-'razā' tujh ko abhī us se milā deñ
gar rashk kī phir ham se shikāyat na kare tū
Top Urdushayar.com