ab to tum bhī javāñ hue ho dekheñge dil ko bachāoge tum
mil jo gayā ham-chashm koī phir aañkh usī se laḌāoge tum
ab jo ham tum se karte haiñ tum bhī kisī se karoge vahī
ham se tumhārā sulūk hai jaisā vaisā hī badla pāoge tum
be-tābī se karoge kyā kyā na ka.ī kisī kī majlis meñ
aaoge tum baiThoge tum phir aaoge tum uTh jāoge tum
ra.asha thī zabāñ meñ luknat paañv beḌī mohrā deñge
muñh se kuchh kā kuchh niklegā dil meñ jo Thahrāoge tum
vo to tumhārī siikh tumhīñ se baat meñ baat nikālegā
merī sūrat apnā sā muñh taak ke phir rah jāoge tum
naam ko daana do do din tak merī tarah dekhoge nahīñ
jab maiñ bahut samjhā.ūñgā to thoḌā sā khānā khāoge tum
na.ī na.ī choTeñ khā khā kar jab be-kal ho ho jāoge
mujh ko hamdard apnā samajh kahne ko ġham ke aaoge tum
har har baat meñ ro ro ke ghabrā ghabrā kar bologe
kaise ġharīb ġharīb se ho kar dil kī bāteñ sunāoge tum
mere haal pe sheroñ ke mazmūn bahut yaad ā.eñge
das das baar ek ek ġhazal ko mujh se phir paḌhvāoge tum
dil meñ tum apne mat laanā jiite rahe gar mīr-'razā'
de dil us kā haath meñ le ke jaise dil ko lagāoge tum