Raza Azimabadi

mujhko jo kahte ho myan tum ho kahan tum ho kahan

Raza Azimabadi

mujh ko jo kahte ho myaañ tum ho kahāñ tum ho kahāñ
dil kahāñ hai paas mere merī jaañ tum ho kahāñ
vo galī hai yā parī-ḳhāna hai yā firdaus hai
sach kaho ai hamdamo maiñ huuñ kahāñ tum ho kahāñ
apne se apnā na ho kaam auroñ se rakhiye umiid
kyā vasiyyat karte ho ai dostāñ tum ho kahāñ
gul khileñge baar baar aur aa.egī hir-phir bahār
hai hamesha sair-e-gulzār-e-jahāñ tum ho kahāñ
jab javānī ga.ī rahā kyā aanā jaanā sab gayā
aao jaane do vo bāteñ ai miyāñ tum ho kahāñ
dekhne kā chaav ye ainak utartī hī nahīñ
dekho tum apnī taraf ai mehrbāñ tum ho kahāñ
pūchhte haiñ haal to muñh dekh rahte ho 'razā'
dil kahīñ aur hī hai sunte ho miyāñ tum ho kahāñ
Top Urdushayar.com