bhar nazar dekheñge ham us ko milā jānāñ agar
deveñge rone se fursat dīda-e-giryāñ agar
hashr meñ insāf to hogā va-lekin us ko dekh
haal apnā kah sakegā āshiq-e-hairāñ agar
ai muslimānāñ kareñge ham salām us dam tumheñ
aa gayā īdhar ko vo ġhārat-gar-e-īmāñ agar
dil ko karte ho tavaqqo jab ke is ġham se haa.e
ishq ke āġhāz kā hotā kahīñ pāyāñ agar
ai 'razā' va.adoñ se us ke aaj kyuuñ hotā ḳharāb
kal hī kar letā vafā kā us kī tū paimāñ agar