Raza Azimabadi

naz ka mara hua hun main ada ki saugand

Raza Azimabadi

naaz kā maarā huā huuñ maiñ adā kī saugand
kushta-e-jaur-o-jafā huuñ maiñ vafā kī saugand
ḳhvāh kāfir mujhe kah ḳhvāh musalmān ai shaiḳh
but ke hāthoñ meñ bikāyā huuñ ḳhudā kī saugand
kuchh ḳhabar rāh-e-fanā kī bhī rakhe hai ham se
kah de ai ḳhizr tujhe āb-e-baqā kī saugand
yaar se ḳhvārī-o-rusvā.ī hameñ behtar hai
ġhair kī izzat-o-hurmat se vafā kī saugand
sham.a kī raushnī sar kaTne se hotī hai do-chand
dard hī se mujhe hāsil hai davā kī saugand
us kī gar jaan se matlab nahīñ tujh ko ai miyāñ
chhūTe kyuuñ khātā hai har dam tū 'razā' kī saugand
Top Urdushayar.com