kyā na-dīdoñ se zamāne ko sarokār hai aaj
ek dirham jo rakhe mālik-e-dīnār hai aaj
kal to ma.amūra-e-ālam ko Dubāyā ai chashm
kyā ḳharābī hai tū phir rone ko tayyār hai aaj
dekhnā dekhnā kyā dil meñ lagī ātish-e-ishq
kyuuñ mirā nāla-e-ḳhūñ-bār sharar-bār hai aaj
ai 'razā' ḳhatt-e-siyah us ke nahīñ chehre par
husn ke vāqiye kā yaar azā-dār hai aaj