vabāl-e-jān har ik baal hai myaañ
ta.alluq dil kā kyā janjāl hai myaañ
talab meñ kaun duniyā kī ho pāmāl
ye baitulmāl kuchh bhī maal hai myaañ
ye kālā-e-jahāñ kā muñh ho kaalā
agar samho to jī kā kaal hai myaañ
sunā hogā jo kuchh majnūñ kā ahvāl
vahī apne bhī hasb-e-hāl hai myaañ
taḌap kar rū-ba-rū ham us ke mar ga.e
na pūchho kyā mirā ahvāl hai myaañ
qadam rakhte tumhāre dil taḌap ga.e
ye koī chaal hai bhauñchāl hai myaañ
nahīñ jaatā Dafālī-pan kā saudā
ajab sir par mire dhammāl hai myaañ
khulā kab maulvī se uqda-e-dil
bahut ye mas.ala ashkāl hai myaañ
agar hai qaul to ma.asūm kā hai
sivā is ke to qīl-o-qāl hai myaañ
'razā' kyā mil ga.e us jañg-jū se
tumhārā aaj chehra laal hai myaañ