sharminda nahīñ kaun tirī ishva-garī kā
be-vaj.h nahīñ muñh kā chhupānā hai parī kā
jo lab ko tire dekh ke behosh na hove
da.avā usī ko bhātā hai sāhab-jigarī kā
tum dil hī meñ palte rahe ho sīkhā kahāñ se
ai ashk ye sheva jo liyā parda-darī kā
jis tarah sune mujh se kahe yaar se jā kar
ye Dhab kisī ko aatā hai paiġhāmbarī kā
patthar se hoñ dil yak-nigah-e-garm meñ paanī
hai ishq se ījād hunar shīshagarī kā
chal ā.ina-ḳhāne meñ ki hai zor-e-tamāshā
jis tarf nazar kījiye aalam hai parī kā
afsos shab-e-hijr kī shaam aate hī mar ga.e
kyā kyā thā bharosa hameñ āh-e-saharī kā
kar qatl mujhe shauq se badnāmī se mat Dar
dastūr nahīñ kushte pe yaañ nauhagarī kā
hairān huuñ aa.ī na nazar meñ kamar us kī
da.avā thā mujhe apnī 'razā' dīda-varī kā