Raza Azimabadi

hum mar gae pa shikwe ki munh par na aai baat

Raza Azimabadi

ham mar ga.e pa shikve kī muñh par na aa.ī baat
kyuuñ be-zabān āshiqoñ kī āzmā.ī baat
dāvā-e-ishq karne kā kyā muñh kisī kā thā
kam bolne ne tere ye saarī baḌhā.ī baat
ham-peshgī kī mujh se kare guftugū raqīb
muñh us kā dekho hai ye tumhārī sikhā.ī baat
sab kuchh paḌhāyā ham ko murdarris ne ishq ke
miltā hai jis se yaar na aisī paḌhā.ī baat
apnā kise kahūñ na kahūñ kis ko hai ġhazab
jis vaqt muñh se niklī huī phir parā.ī baat
kyā ġhair ne kahā ki lage budbudāne tum
maiñ ne bhī chheḌne kī na.ī ab to paa.ī baat
mazkūra kal kā jaane do ho jāoge ḳhafā
thamtī nahīñ zabān pe jis vaqt aa.ī baat
majnūñ ke naam se mirā haal us ne tab sunā
shukr-e-ḳhudā ki ḳhuub ban aa.ī banā.ī baat
bulbul kā naala aage mire is tarah se hai
jis tarah shahriyoñ se kare rūstā.ī baat
taqrīr-e-sāf par jo 'razā' kī kare nazar
andhe ke ta.iiñ ajab nahīñ deve dikhā.ī baat
Top Urdushayar.com