Raza Azimabadi

zulf khole tha kahan apni wo phir bebak raat

Raza Azimabadi

zulf khole thā kahāñ apnī vo phir bebāk raat
ḳhud-ba-ḳhud hotā thā juuñ shāna dil apnā chaak raat
barg-e-gul shabnam se tar mat jāniyo ai bāġhbāñ
gul ne dāman se kiye bulbul ke aañsū paak raat
sham.a raushan juuñ ki aatī hai nazar fānūs meñ
burqe meñ thā jalva-gar vo rū-e-ātishnāk raat
muġhbache ke chūkne se ho gayā saarā ḳhalal
the lagā.e varna rindāñ duḳht-e-raz se taak raat
tū ne bhariyāñ sho.ala-afshāñ aisī hī aa.heñ 'razā'
yaar ke kūche ke jal ga.e sab ḳhas-o-ḳhāshāk raat
Top Urdushayar.com