Raza Azimabadi

hath uske na aaya daman-e-naz

Raza Azimabadi

haath us ke na aayā dāman-e-nāz
ishq ko sunte hī the dast-darāz
bait-e-abrū hai maḳhzan-e-asrār
ḳhat hai chehre kā sharh-e-gulshan-e-rāz
dekh kar chashm ḳhūn-e-dil ronā
kahīñ ifshā na ho kisī kā raaz
kyuuñ na badnām huuñ jahāñ meñ maiñ
dil hai bad-ḳhvāh chashm hai ġhammāz
ek dil ke liye ye fauj-kashī
ishva-o-nāz ġhamza-o-andāz
jab bulātā ayaaz ko mahmūd
kuchh na kahtā sivā.e banda-navāz
jab tak us se niyāz-e-dil na kahūñ
nahīñ paḌhne kā ai 'razā' maiñ namāz
Top Urdushayar.com