us ghaḌī kuchh the aur ab kuchh ho
kyā tamāshā ho tum ajab kuchh ho
mujh ko kuchh dil par iḳhtiyār nahīñ
tumhīñ is ghar ke ab to sab kuchh ho
kuchh nahīñ baat tis pe ye bāteñ
qahr karte ho tum ġhazab kuchh ho
bahut kī sharm thoḌī sī pī kar
us ke rakhtā huuñ lab pe lab kuchh ho
ishq-bāzī nahīñ 'razā'-bāzī
pahle jāñ-bāzī kiije jab kuchh ho