ġhairoñ kā us taraf se guzāra na jā.egā
jab tak ki ek do kahīñ maarā na jā.egā
nargis ugegī sabze kī jā ḳhaak se mirī
yāroñ kā marne par bhī nazāra na jā.egā
ye dil hai laḌkoñ kā na gharauñdā samajh ise
bigḌā to phir kisī se sañvārā na jā.egā
ghar par raqīb-e-ḳhāna-bar-andāz ke 'razā'
hogā agar tū yaar hamārā na jā.egā