Raza Azimabadi

kis liye sahra ke muhtaj-e-tamasha hojiye

Raza Azimabadi

kis liye sahrā ke muhtāj-e-tamāshā hojiye
chaak kiije siine ko aur aaphī sahrā hojiye
kushta-e-lab ho ke kiije jāvedāñ ab zindagī
kyuuñ abas minnat-kash-e-ḳhizr-o-masīhā hojiye
chashm-e-ahval sab ko dekhe hai ziyāda aap se
ain bīnā.ī hai gar is tarah biinā hojiye
kab talak sar-gashta rahiye din ko misl-e-gard-bād
raat ko juuñ sham.a jalne ko muhayyā hojiye
is qadar ham dil-girafta haiñ ki mushkil hai bahut
us ke band-e-jāma vā hone pe bhī vā hojiye
mujh se ye mahjūbī aur dushman se aisā iḳhtilāt
sharm kiije bevafā.ī meñ na rusvā hojiye
aanā yuuñ tevrī chaḌhā.e muñh banā.e fā.eda
gar yahī sūrat hai mat tashrīf-farmā hojiye
bul-havas kā yuuñ hadaf kiije nishāna tiir kā
ġhāfil apnī qadar se be-dard itnā hojiye
juuñ jaras bām-o-dar-e-har-ḳhāna se uTThegā shor
mat safar se hashr barpā sāz-e-suhhā hojiye
ḳhāna vīrāñ kar ke dīvāne bane tis par 'razā'
kuchh na ho.e phir bhalā kyā kījiye kyā hojiye
Top Urdushayar.com