us chashm ne ki tūtiyoñ ko nukta-dāñ kiyā
aisī ki ik nigah ki mujhe be-zabāñ kiyā
ghabrā.ūñ kis tarah dil-e-pur-āh se na maiñ
us soḳhta ne ab to nihāyat dhuāñ kiyā
haal us ne pūchhā jab na rahī tāqat-e-bayāñ
is pūchhne ne aur mujhe be-zabāñ kiyā
yārab tū us ke dil se sadā rakhiyo ġham ko duur
jis ne kisī ke dil ko kabhī shādmāñ kiyā
nairañg be-sabātī kā hai is chaman kā rañg
bulbul ne kyā samajh ke yahāñ āshiyāñ kiyā
mazmūn-e-ḳhat usī se hai zāhir ki hogā kyā
qāsid kī jā jo ashk ko ham ne ravāñ kiyā
gah ishva gah karishma gahe naaz gah adā
kis kis tarah se us ne mujhe imtihāñ kiyā
ḳhūboñ ko ham-nashīñ tū kabhī dil na dījiyo
maiñ is muāmle meñ bahut sāziyāñ kiyā
majnūñ kā ishq sach hai pa mauzūnoñ ne 'razā'
zarra sī baat thī use ik dāstāñ kiyā