yaar ko bebākī meñ apnā sā ham ne kar liyā
ya.anī us ne Thokaroñ meñ sar hamārā dhar liyā
ishq-e-rusvā ne dī afzūnī hijāb-e-husn ko
jo uThā parda yahāñ se us ne vaañ muñh par liyā
is ko mai-ḳhvārī nahīñ kahte haiñ ḳhūñ-ḳhvārī hai ye
mere dil se lī gazak aur ġhair se sāġhar liyā
naam ko dil meñ jagah chhoḌī na dāġh-e-ishq ne
ek mehmāñ aisā aayā jis ne saarā ghar liyā
zauq dekho mujh se said-e-nā-tavāñ ke vāste
teġh lī ik haath meñ ik haath meñ ḳhanjar liyā
maiñ sitāra-soḳhta vo huuñ ki jis kā zā.icha
us ghaḌī khīñchā gayā jab daaġh kā aḳhtar liyā
chashm-o-dil rakkho ho yaaro jaav Tuk dekho use
mujh se kyā kahte ho us ne dil tirā kyūñ-kar liyā
ai 'razā' raah meñ ḳhizr kī mat raah dekh
ghar ke jaane meñ kisī ne bhī bhalā rahbar liyā