abr ke bin dekhe hargiz ḳhush dil-e-mastāñ na ho
tiir bārāñ hove mujh par jab talak bārāñ na ho
merī rusvā.ī ne tere husn kī kī hai numūd
jab talak shabnam nahīñ ro.e to gul ḳhandāñ na ho
tarz terī guftugū kī hai gavāh-e-mai-kashī
bū-e-gul aur nashsha-e-sahbā kabhī pinhāñ na ho
shaiḳh ko vo jahl hai sau baar ka.abe ke ta.iiñ
jaa.e aur aa.e va-lekin phir gadhā insāñ na ho
zikr-e-abrū-e-butāñ se kyuuñ burā maane hai shaiḳh
kyā huā kāfir tujhe qible se rū-gardāñ na ho
sach batā ai jān-e-ishq o ishq-bāzāñ kyā hai tū
bin tire maiñ us badan sā huuñ ki jis meñ jaañ na ho
yaañ se jā shaitān zulf-e-yār ko ham de chuke
āshiqoñ kā diin hai ye shaiḳh kā īmāñ na ho
tark-e-tāz-e-ġhamza kā us kī yahī Dar hai 'razā'
ye ġham-ābād apnā shahr-e-dil kahīñ vīrāñ na ho