butoñ ko fā.eda kyā hai jo ham se jañg karte haiñ
ḳhafā jo zindagī se huuñ unheñ kyuuñ tañg karte haiñ
idhar ūdhar se phir terī galī meñ dil le aatā hai
taraf dair o haram ke jab kabhī āhañg karte haiñ
kisī aur hī ke ghar ko kījiyo sayyād tū taz.īñ
ham apne ḳhuun hī se is qafas par rañg karte haiñ
ba-tañg aa kar ke aalam ne garebāñ chaak kar Daalā
butāñ phir kis liye jaame ko apne tañg karte haiñ
use to taab dam kī bhī nahīñ juuñ aa.ina ḳhūbāñ
'razā' kī tarf se kyuuñ apne jī ko tañg karte haiñ