maut bhī aatī nahīñ hijr ke bīmāroñ ko
kyā musībat hai zarā dekhnā bechāroñ ko
nāla-e-dil ne hamāre to asar kam na kiyā
aur ma.azūrī ziyāda huī dil-dāroñ ko
go haiñ jannat meñ maze lek nahīñ bhūlne kā
hoñT kā chāTnā tujh lab ke namak-ḳhvāroñ ko
is se behtar nahīñ kui chiiz sivā bose ke
rū-numā.ī meñ jo deveñ tire ruḳhsāroñ ko
kabhī ronā kabhī sar dhunñā kabhī chup rahnā
kaam karne haiñ bahut se tire be-kāroñ ko
maiñ ne kāġhaz tirī tasvīr kā iisā ko diyā
nusḳha juuñ dete haiñ bīmār sab attāroñ ko
pattharoñ hī pe tajallī hai to ham ġhairat se
āñkhoñ hī meñ liye mar jā.eñge nazzāroñ ko
sab namūna hai haqīqat kā jahāñ tak hai majāz
naas jo karte haiñ gulzāroñ kī dīvāroñ ko
ye ġhazal ḳhidmat-e-navvāb kī hai mīr-'razā'
aur ik dūsrī kah dījiye ham-kāroñ ko