Safi Lakhnavi

jaana jaana jaldi kya hai in baaton ko jaane do

Safi Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1862-1950
jaanā jaanā jaldī kyā hai in bātoñ ko jaane do
Thahro Thahro dil to Thahre mujh ko hosh meñ aane do
paañv nikālo ḳhalvat se aa.e jo qayāmat aane do
sayyāre sar aapas meñ Takrā.eñ agar Takrāne do
bādal garjā bijlī chamkī roī shabnam phuul hañse
murġh-e-sahar ko hijr kī shab ke afsāne dohrāne do
haath meñ hai ā.īna o shāna phir bhī shikan peshānī par
mauj-e-sabā se tum na bigḌo zulfoñ ko bal khāne do
kasrat se jab nām-o-nishāñ hai kyā hoñge gumnām 'safī'
naqsh diloñ par naam hai apnā naqsh-e-lahad miT jaane do
Top Urdushayar.com